ChotBy : NeaL... (Views : 1106)jab koi yaad si lehrayi hai
dil ne ek chot nayi khaayi hai
phool daaman mein ho ya kaante ho
teri har cheez meri rubaayi hain
kya ajab khel dikhata hai humhe
waqt aisa bhi tamashayi hai
kisko duniya mein hum kahe apna
yahan har cheez hi parayi hai
aap kaanton se huye hain ghayal
chot phoolon se maine khaayi hai
bheed mein tanha-tanha rehta hoon
aisi tabhiyat hi maine paayi hai
zindagi naam hai muqaddar ka
maat kismat se maine khayi hai
DardBy : rajesh kondal (Views : 1273)Ek hi khwaab ko ankho me kayi bar sjaya maine
Apne hi ashko se phir us khwaab ko mitaya maine
Raah ke jis mod par badal gayi thi manzil meri
Aaj Phir usi raah par kadam ko uthaya maine
Jo tha masiha mera, aaj use pathar keh diya
Na chahte huye bhi julm kamaya maine
Ek tarf mot hai or ek tarf basar tanha
Pyar me kya kahu ki kya paya maine
Dhuan hi dhuan uthta raha magar aag na jal payi
Aaj Is kadar uske khato ko jlaya maine
Unka Zakhm Apna DardBy : Mohit Bhatt (Views : 4552)Agar unhe lage koi zakhm
toh dard hume ho
Agar unhe ho koi gum
toh palke humari num ho
Agar unpe ho koi sitam
toh saanse humari kam ho
Aur unpe khili rahe har pal muskan
chahe khushi hamari kam ho
TanhaiyaanBy : NeaL... (Views : 2048)dushmanon se bhi badkar,dost ki rusvaaiyan
hoon hujume saadgi mein,saath hain tanhaiyan
ho na dil mein jab kisi ke vaaste acche khyaal
aeb ban jaati hain tab,insaan ki acchayiyan
lag raha hain aadmi dilkash samandar ki tarah
kitna kharapan hain isme,saath mein gahraiyan
fakr ka suraj tahar jaata hain,aakar sir pe jab
choti ho jaati hain kadh se pyaar ki parchaiyan
mein bahut chota hu,par itna bhi chota to nahi
aapke kadh se badi hain,ye meri unchaiyaan
jab uthar jaate hain sharaab ke ghoonth seene mein
lene lagta aayiena-e-dil bhi tab angdaayian
Aap Ki Dhadkan Se Hai Rishta HumaraBy : Amit Sinha (Views : 3469)Aap Ki Dhadkan Se Hai Rishta Humara
Aap Ki Sanso Se Hai Nata Humara
Bhul Kar Bhi Kabhi Bhul Na Jana
Aap Ki Yaado Ke Sahare Hai Jina Humara
[ Previous Page ] [ Next Page ]
Pages : 6 7 8 9 10 11 12 13 14 15