Ab Teri Yaad SeBy : Sarfaraz amani (Views : 623)Ab teri yaad se wehshat nahi hoti mujhko
Zakhm khulte hain aziyat nahi hoti mujhko
Ab koi aaye chala jaye main khush rehta hoon
Ab kisi shaks ki aadat nahi hoti mujhko
Aisa badla hoon tere shehr ka pani pee kar
Jhooth boloon to nadaamat nahi hoti mujhko
Hai amanat mein khayanat so kisi ki khatir
Koi marta hai to hairat nahi hoti mujhko
Itna masroof hoon jine ki hawas mein aye dost
Saans lene ki bhi fursat nahi hoti mujhko
Ye DurianBy : Anwesha (Views : 1042)apse dur huyi pata chali armano ki duria
apka sath chhoota to pata chala kua hoti hai majburia
aap khush raho hamesha yeh dua karti hu
apse dur hokar jaise main kaha par bhatak rahi hu
apki har baat me hai kitni sari khubiaa
jaldi aaungi apkse pas mitake sari duria
दिलों पे राज करने कोBy : Navin C. Chaturvedi (Views : 950)न तो शैतान चाहिए, न ही भगवान चाहिए
दिलों पे राज करने को - फकत इन्सान चाहिए
दिलों से बात जो निकले, दिलों तक जा पहुँचती है
उसे सुनने के वास्ते - न कोई कान चाहिए
मोहब्बत की इमारत खूब सुन्दर बन सकेगी पर
निगाहों में जो जँचता हो, वही सामान चाहिए
कसम, वादे सभी झूठे, दिलासा दे नहीं पाते
भरोसा जीतने को बस - खरा ईमान चाहिए
ज़माने से जुदा एक दोस्ती, क्यों हो नहीं सकती
मगर दोनों के दिल में, 'एक से' अरमान चाहिए
मेरी दरख्वास्त उस की समझ में आ ही नहीं पाती
तुम्ही बोलो मुझे अब कौन सी जुबान चाहिए
Laa JawaabBy : Shailesh (Views : 1349)kitabo ke panno ko palt ke sochta hun yun
palt jaye meri zindagi to kya baat hai
khwabon me roj milte hai jo
agar haquikat me aa jaye to kya baat hai
kuch log matlab ke liye dhundte hai mujhko
bin matlab jo aaye to kya baat hai
qatal kar ke to sab le jayenge dil mera
koi baaton se le jaye to kya baat hai
jo sharifo ki sharafat me yeh baat na ho
ek sharabi keh jaye to kya baat hai
apne rehne tak to khushi dunga hi sabko
jo meri maut pe khushi mil jaye to kya baat hai
Jaise La Deta HaiBy : Ravnish Chand Dayal (Views : 2135)Jaise la deta hai bahaar raunak chaman me
Waise laye ye din khushiyaa hazaar tere daaman me
Buri nazar na lag jaye tujhe teri khushiyo ke chilman se
Tu hamesha rahe shaamil be-ghamo ke anjuman me
[ Previous Page ][ Next Page ]
Pages : 1 2 3 4 5 6 7 8 9 10
| Most Viewed Relationships shayari |