Husn Nazar Aa Raha HaiBy : vibha (Views : 1564)Jidhar dekhiye husn nazar aa raha hai,
Mausam ka jaadu kahar dhaa raha hai,
Bade naaz se hai muskuraai zameen,
Jhoom ke aasmaan jhuka jaa raha hai,
Kaliyon ne banaya chaman aur haseen,
Fizaaon mein rang ghula jaa raha hai,
Nikhar gayi hai har shai rangini liye,
Baadalon se pyaar umadh aa raha hai,
Kudrat ka har nazaara haseen dekh kar,
Khudaai ke nagaah mein yeh dil gaaye jaa raha hai.
Kaash Main Paani HotaBy : vibha (Views : 1225)Kaash main pani hota,
Dard bhari kahani hota,
Aansoo ki rawani hota,
Thandak ki frawani hota.
Faslon ki zindagi hota,
Kisan ki asaani hota,
Gar mera koi kadardani hota,
Kaash main pani hota.
Tareekhon nigehbani hota,
Santon ki main jawani hota,
Gar mera koi pasbani hota,
Yoon main na badnami hota,
Kaash main pani hota.
Shabnam ki soorat afshani hota,
Sabza-o-gul main noorani hota,
Has kar mera na tiflani hota,
Insaan mera agar ehsani hota,
Kaash main pani hota.
Jaiza mera na imkani hota,
Khatra na mujhse jaani hota,
Kainaat ki zindagani hota,
Zindagi ki main nishani hota,
Kaash main pani hota.
AASMAN ROTA HAIBy : Sarfaraj Ahmad (Views : 1047)JAB BHI MAIN NIKALTA HUN SADAK PAR,
YEH AASMAN ROTA HAI MUJHE DEKH KAR,
SHAYAD YEH KEHTA HAI MILA DE MUJHE ZAMEEN SE
YA PHIR MERE LIYE DUA KAR.
Zamana Phoolon KaBy : Kashif (Views : 819)Gulshan mein kabhi hum sunte thay wo kya tha zamana phoolon ka,
Kaliyon se kahani kaliyon ki,phoolon se kahani phoolon ki,
Kya mausame gul par itra kar hum gaayein tarana phoolon ka,
Do roz mein aane wala hai ek aur zamana phoolon ka.
Raatrani So GayiBy : Ashique_E_Bimar (Views : 744)Raatrani So Gayi,
Surajmukhi,Chandramukhi Khil Uthi,
Phulon Ki Rani Gulab,Jo Hai Juhiji Hamari,
Champa Chameli Ko Tulips Se Boli,Good Morning Ji!
[ Previous Page ] [ Next Page ]
Pages : 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12