NatureBy : Nadia (Views : 612)pyaar mein palatna aata nahi humein
guzraa huya lamha yaad aata nahi humein.
Sitaron Ke Bagair Aasman Mein Rakha Hai Kya?By : Manoj (Views : 637)Sitaron ke bagair aasman mein rakha hai kya?
Bin tere jeene mein rakha hai kya?
Lagta hai sub kuchh adhoora adhoora sa,
Khushi ke bagair hasne mein rakha hai kya?
Kahaan Le Chale Ho Bataa Do MusaafirBy : Manoj (Views : 720)kahaan le chale ho bataado musaafir
sitaaron se aage ye kaisaa jahaan hai
khayaalon ki manjil ye khvaabon ki mahafil
samajh me na aaye ye duniyaa kahaan hai
kahaan rah gaye qaafilen baadalon ke
zamiin chhup gayi hai tale baadalon ke
hai mujhako yaqin ke ye jannat vahin hai
ajab si fizaa hai, ajab ye samaa hai
kahaan le chale ho
nazar ki dua ka javaab aa rahaa hai
meri arazoo ka shabaab aa rahaa hai
ye khamoshiyaan bhi hain ik daastaan koi
kahata hai mujhase mohabbat javaan hai
kahaan le chale ho
PEHLII BAUCHAARBy : Navin C. Chaturvedi (Views : 895)OOmas se mat himmat haar
Le paD gayii, pehlii baucHaar
Hariyaali ke swaagat mein
Toofaan ka saadar sweekaar
Sarwar nadi sabko mat laa
Naachein - jhoom, hilorein maar
Daanaa paanii walon se
keh, jaan - apne bhandaar
Maruthal tak pahunchaanii hai
Maidaan kii barsaatii dhaar
Shehron mein bhii laanii hai
Gaanvon kii, atirikt bahaar
Aaj se hii taiyaarii kar
Kal kii khaatir, mere yaar
Karne ko, hai kyaa dushvaar?
Naa karne ke, sabab hazaar!!
Us par shaq bhii kiyaa karo
Jiske haathon do patvaar
Kudrat Ka Husn.....By : Vibha (Views : 1498)jidhar dekhiye husn nazar aa raha hai
mausam ka jadu kaher dhaa raha hai
bade naaz se hai muskuraai zameen
jhoom ke asmaan jhuka ja raha hai
nikhar gayi hai har shaiy rangini liye
baadalon se pyar umadh aa raha hai
kudrat ka har nazaara haseen dekh kar
khudaai ke naghmein yeh dil gaa raha hai......
[ Previous Page ] [ Next Page ]
Pages : 1 2 3 4 5 6 7 8 9 10