CHHALBy : Rekha (Views : 292)YAAD AATE HAI WOH MEETHE PAL
JO GUJARE THE HUMNE TERE SANGH
AB CHUBHTE HAI WOH SUI KI TARHA
HAR DUM, HAR PAL
YEH KYA KAR LIYA TUNE
KEHTA HAI SAMAY MUJHSE AAJ KAL
HAR PAL HASNE WALI ANSU MEIN DUBI HUI HAI
YEH TERA NASEEB KAR GAYA TUJHSE CHHAL
Aashiq DeewanaBy : Jitender Chaudhary (Views : 552)TUJHE DEKHA HAI MAINE JAB SE
MERE DIL ME BUS GAYI TU TAB SE
TERE SIWA DEKHNE KI KISI KO CHAHAT NA RAHI
TERA AASHIQ KYA BANA JINE KI TAMANNA NA RAHI
Nazar To Aa JayeBy : Yug (Views : 723)Taras gayi hain nigahen wo nazar toh aa jaye
Mujhe na miley meri taraf toh aa jaye
Main uski yaad ko dil se nikal dun lekin
Kisi tarha mujhe ye hunar toh aa jaye
Jab Wo JaneBy : Sarfaraz amani (Views : 1616)Haq wafa ka jo hum jatane lage
aap kuchh kehke muskurane lage
humko jeena padega furqat mein
wo agar himmat aazmane lage
dar hai meri zubaan na khul jaye
ab wo batein bahut banane lage
jaan bachti nazar nahi aati
gair ulfat bahut jataane lage
tumko karna padega uzr-e-jafa
hum agar dard-e-dil sunane lage
bahut mushkil hai sheva-e-tasleem
hum bhi aakhir ko jee churane lage
waqt-e-rukhsat tha sakht magar
hum bhi baithe the jab wo jane lage
Katl-e-aamBy : NeaL... (Views : 507)Meri is mohabbat ka accha na anjaam hua
aur dekhte hi dekhte mera katl-e-aam hua
mera koi kasoor nahi teri nigahon ne dil chura liya
aur tuje chaha maine baaki kaam khuda ne poora kiya
mila to kuch bhi nahi mujhe par main badnaam hua
teri kaatilaana nazron ne maara main katl-e-aam hua
teri har ada ko yaad karke main har lamha tadapta hu
tere ek deedar ke liye main palpal tarasta hu
meri wafa aur meri bewafaayi ke mishran ka kaise ye jaam hua
is vish bhare jaam ko pikar dekh main katl-e-aam hua
berukhi zindagi mein tanhaiyon ke siva kuch nahi
bhool gaya hu armaan apne saare yaad bas tu rahi
luth gaya hu main ab mera to sab kuch neelaam hua
hasti hain duniya mujh par kyunki main ishq mein katl-e-aam hua
[ Previous Page ] [ Next Page ]
Pages : 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12